Faquat zindagi ki do rahe
bana kar,
fir zindagi dohri jeete
hum kyun hai?
Aankhon se jab ashque
jharte kisi ke,
kisi ke labon pe ye
muskan kyun hai?
Gulsan agar hai safar
zindgi ka,
to phir zind-e-manzil bhi
shamsan kyun hai?
jo achha karam zindagi me
hai karna,
to burai ka rastaa yun
aasan kyun hai?
Agar jeena hi hai bana
marne ko to,
ye phir zindagi ek vardan
kyun hai?
Jo hum chahate hain vo
hasil na hoga,
to phir mann me chahat ka
toofan kyun hai?
Akele the aaye sabhi is
jahan me,
aur ik din akele hi jana
hai sab ko,
jahan bhar ka hai
saaz-o-saman batora
to phir jaan kar sab hi
nadan kyun hai?
Suna tha jahan me
talaasho khuda ko,
khudi jab miti tab hi
paya khuda ko,
tujh me wahi noor mujh me
wahi hai,
to fhir bhhi ye insan
haiwan kyun hai?
Auro ki izzat pe, auron
ki daulat pe,
daanka jo daale wo insan
nahi hai,
insan ki shakl ikhtiyar
karke
ye shaitan insan kahlaata
kyun hai?
©
©